Historical Incident of Panch Yaran
<>*~*~*~*~*~* <>**~*~*~*~
Once it happened that Shaykhulalam shaykh Noorud din Noorani (rehmatullaheal aih) while enjoying sunny atmosphere of the plain meadowswas in a thinking mood. The same place is yet to be known as "Panch Yaran" Shaykh noorud din noorani (rehmatullaheal aih) was just perspiring in hot sun that there came all of a sudden five girls having huge bundles of wood on their heads . All of them stood stayed to keep down their bundles of wood over the longest sticks in order to make ashadowy position for creating rest for the saint without disturbance. The same girls engaged theirselves to collect the particular kind of grass from the plain field . When the majestic saint (rehmatullaheal aih) awakened he looked spiritually upon these bundles of sticks of wood and turned them to become Five Deodar Trees having bushy branches. Baba kamal , one of the writers of reshi Namas has mentioned that upto 1216 Hijri these trees of deodar were in a good position for the observation of all. One of the girlsseemed to be more acute, clever and attentive. She realized the sage sheikh noorud din noorani (rehmatullaheal ih) . She posed many questions to Sheikh Noorud din Noorani (rehmatullaheal ih) in a scholarly manner. The Nund reshi (rehmatullaheal ih) retorted all of them one by one. Then all of the five girls joined the Rishi order ♥♥
SUBHAANALLAH
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
2) GHOUSE AZAM KI MADAD ♥ Aik dafa "Ropwan" Chrare Sharif Mei Hazrat Sheikh Noorud din (rehmatullaheal aih) Ibaadate Khuda Mei Mashgool Thay, Kuch Dair Baad Aap(rehmatullah ealaih) Ko Shor Sunaayei Diyaa To Aap Rehmatullahe Ne Apne Rafiq Yaar Hazrat Baba Nasrud din (rehmatullaheal aih) Ko Mukhaatib KarKay Farmaya . "Ay Nasr! BAAHIR nikal Kar Zara Ke Yeh Shor Wa Sharaaba Kiun Aur Kis Taraf Hai " Nasrud din (rehmatullaheal aih) Ne Ju'n He BaahirNikal Kar Nazar Daali To Dar Ke Maaray Jald He Waapas Palat Kar Darwaaza Bandh Kar Kay Andhar AYa Aur Hazrat Shaykh (rehmatullaheal aih) Se arz Karne Lagga ke "Ay Shaykh (rehmatullaheal aih)! Baahir Mei Ne Dekha ' Surkh Wardi Pehan Kar Aik Fauji Lashkar Haatho Mei Neazay Aur Shamshairay Le kar issi Pahaadi Ki Taraf Dorh Kar Aarahe hain. Ye dekh kar mei jaldi waapas aaya" Hazrat Shaykh (rehmatullahe alaih) Ne Baba Nasrud din (Rehmatullahe alaih) se farmaaya : " Gabraanay ki koi baat nahi hai, bay fiker raho. Khuda wande kareem ko yaad karo, dekho ; wahi hamaara Muhaafiz hai" Phir farmaaya : " Ay Nasrud din (rehmatullahe alaih)! Dar'Asl meri baari aayei hai , mujhay ab is dunyayai faani se rukhsat hona hai. Ay meray Rafiq ! Mei ne aap se kaha tha na , ke ye dunya kissi kaam ki nahi hai, dunyawi kaam chorh kar aakhirat kay kaamo mei lag jao". Ay Nasur ! Maal o jaayedaad , zan wa awlaad , zar wa zameen Saath nahi jaatay hain. Bas'Wahan Sirf Aamaal Saath Jaatay Hain" Ay Nasrud din ! " Dar'asl Shaitaane Maloon Mujhay Is Waqt raahe Haq se Bhadkaanay Aya hai" . Nasr! Mei Dua Maang Lu'n Ga Aap Aameen Kartay Rehan".. Is Kay Baad Shaykh Noorud din Noraani (rehmatullahe alaih) ne Apne daste Mubarak Upar Uthaayai Dua Maangne Lagay: "k Ilaahei! Mujhay Fatah o Nusrat Bakhsh De.Ya ALLAH! Ba Waastay Hazrat Paigambar Kareem Mohammad Rasoolullah SALALLAHUALAIHE WA AALIHE WASALLAM Meri Madad kar, Mera Saath dei'n." ♥ Dua Qubool HuwiBa Waasta Hazrat Sardaar Do AALAM (salallahualaih ewasallam), Issi Waqt Qutbe Aalam Shahe Jilan Hazrat Shaikh Syed Abdul QaadirJeelani (Radiallahu taala anhu) Shamshaire Burhaan Dastay Shareef Mei Le Kar , Sabz Wardi Pehan Kar Namoo'daar Huway. Hazrat Shaykh (rehmatullaheal aih) Ne Haalat Jaan Nay K Liye Andar Se baba Nasrud din(rehmatullah ealaih) Ko Baahir bheja...Baba Nasrud din(rehmatullah ealaih) Jab Waapas andar aagayei , to unhu ne apne Murshid Hazrat shaykh (rehmatullaheal aih) ko bataya k Sabz posh wardi waali Shakhsiyat(sham shair bardaar) ne surkhposh wardi waalay lashkar kay commander ko giriftaar kiya aur us kay lashkar ko Titar Bitar kar rahay hain. Ye dekh kar Baba Nasrud din(rehmatullah ealaih) ko hosh aaya Aur Sukoon qalb payaa... Hazrat shaykh (rehmatullaheal aih) ne Nasrud din(rehmatullah ealaih) se farmaya: K Ye Shahe Jeelan Hazrat shaykh Abdul Qaadir Jilani(radialla huanhu) thay. Aur baba Nasrud din Ko farmaya : Is Jagah Ko Foran Saaf Karo, Ye Saahib Yahan He aayin ge." Bayshak Jab Shahe Baghdad Hazrat Gousulazam (radiallahuanhu ) Faarig Huway To Hazrat Shaykh (rehmatullaheal aih) Kay Haa'n Aagayei. Hazrat shaykh (rehmatullaheal aih) ne Khaday Ho Kar Un Ka Istiqbaal Kiya Aur Un Ko Tazeem wa Tasleem Kiya. Shahe Baghdad (radiallahuanhu ) ne Hazrat shaykh (rehmatullaheal aih) Ko Khabar di K Rabbe Qaayenaat Aap Se Raazi Hai, Aur Khatmul Mursaleen Hazrat Mohammad Rasoolullah Salallahualaihe wasallam Aap Ko Aafreen Kartay Hain . Jenaab Hazrat Meer Syed Mohammad Hamdani(rehmatu llahealh) AAP kay Murshid Hai, Mei Bhi Aap Ko Yaad Rakhta Hun. Is kay Baad Shahe baghdad (radiallahuanhu ) Rukhsat Ho Kar"Ropwan" Se Chrare Aa'kar Baagh Sangraam Daar Mei HEE Darakhet(tree)[ aik qism ka phool waala darakhet] Kay Qareeb Baith Kar Kuch Waqt Guzaarnay Kay Baad Wahaan Se Chalay Jaatay Hain"..Is Waaqah Kay Kuch Dair Baad Baba Nasrud din (rehmatullahe alaih) Ne Jab Baahir Dekha To Iblees La'Een Zor Zor se' Aur Ro Ro Kar Apnay Upar KhaakMalne Lagga ... SUBHAANALLAH SUBHAANALLAH ♥.. (Karaamat e Shaykhlalam rehmatullahe alaih By Abu Nayeem)